Add Poetry

Aye Kash K Mai Yeh Keh Sakti

Poet: Aansa FJC clg Bindaas By: Aansa Jamal, lahore

Aye Kash K Mai Yeh Keh Sakti
K Mai Ne Chaha Hai Tujjhey

Apni Pahli Dharkan Ki Terhan
Jis Terhan Apni Dharkan Ko Pahli Baar Mehsoos Kia Tha

Jis K Dharkney Se Zindagi K Honey Ka Ehsas Hua Tha
Jis Ne Dil Ki Duniya Mai Tery Honey Ka Pata Diya Tha

Aye Kash K Mai Yeh Keh Sakti
K Mai Ne Chaha Hai Tujjhey

Kay Toe Hai Toe Yeh Zindagi Hai Meri
Zindagi Se Nata Hai Terey Honey K Sabab

Terey Khawab Meri Ankhon Mai Yoon Jawan Hotey Hain Jaisey
Perwaney Shama K Gird Zinda Ho Bikharney K Liye

Dil Lagi Ye Nahi Mohabbat Hai Ab Suun Aye Sanam
Boht Ho Chuki Zindagi Se Jung

Q Mjh Is Aag Mai Jalatey Ho
Ab Dil K Dharkney Ka Sabab Poch He Loo

Q Mery Jazbaat Ki Shiddat Ko Nahi Samjhtey
Q Nahi Maantey  K

Dharkan K Chalney Ka Safar
Zindagi K Honey Ka Ehsaas Ho Tum

Aye Kash K Mai Yeh Keh Sakti
K Mai Ne Chaha Hai Tujjhey

Apni Wustoon Se Zayada
Teri Hadood K Andeer

Rate it:
Views: 853
16 Feb, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets