Aye Khoda Aye Khoda Bebaso ki tu sun le
Poet: KARAN By: SAMEER, KARACHIAye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Ayesa Gham Na De Jiski Na Ho Koi Dawa
Kaisi Taqdeer Leke Aati Hai Qismat
Etna Dard Deke Bhi Na Chain Pati Hai Qismat
Dekhte Hi Rah Jati Hai Ankhein Ye Howa Tu Kiya Howa
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Hai Preshanion Ka Naam Zindagi
Kab Talak Azmayegi Ab Teri Bandagi
Thak Gaye Hai Bhut Ab Tu Chaira Khoshi Ka Dikha
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Mangtay Thay Kiya Ham Aur Kiya Mil Gaya
Dekhtay Hi Dekhtay Sab Kho Gaya
Kis Se Bole Ham Kon Hai Eak Tere Siwa
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Bojh Mere Jo Dil Pe Hai Batao Kise?
Gham Jo Dety Hai Unhe Gham Sunao Kaise?
Chaand Jaisi Thi Qismat Jinko Mili
Unhe Meri Shamma Bojha Ke Kaya Mila?
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Tu To Hazir Hai Tuhi Nazir Hai
Tuhi Jane Her Gayeb Ka Waqiaa
Hai Teri Kaisi Aazmayish Cheen Li Jisne Meri Sari Khoshiya
Ab Khoshi K Liye Dil Tersta Bhi Hai
Tu Derti Hai Qismat Badnasibi Na Kare Koi Haadsa
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Kis Tarf Ab Ham Le Jai Qadam
Aansuo Ne Ab Raasta Kho Diya
Bebasi Etni Shamil Howi
K Ham Ne Ab Apna Gumaa Kho Diya
Ab Rahem Tu Hi Ker Raasta Koi Dikha
Tu Hai Malik Mera Tu Hi Ab Ker Koi Faisla
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Hai Musibat Zada Ye Ghum Khaar Zindagi
Zakhmon Ki Aag Se Hai Bezaar Zindagi
Teri Aazmayish Ka Main Dongi Emtehaan
Mere Allah Tera Gham Hai Mere Dil Ka Maheman
Bas Rahem Tu Kerna Tera Shukar Hai Her Haal Main Aye Khoda
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Teri Zindagi Hai Tere Faisle Hai
Mile Ger Hame Ye Aaj Jo Tere Hi Haosle Hai
Hame Taofiq Dena K Na Ladkhadai Qadam
Rakh Sake Bas Ham Sabhi Ka Bharam
Dil Na Tode Kisi Ka Na Ho Ayesa Gonah
Aye Khoda Aye Khoda Bebaso Ki Tu Sun Le Dua
Ayesa Gham Na De Jiski Na Ho Koi Dawaa