Baat Kuch Tu Bannay Nibhaanay Ki
Woh Sadaa Day Mujhay Koi Lout Aanay Ki
Main Bhi Tumhari Tarha Laa-Tualluk Ho Jao'n
Ya Duaa Do Mujhay Mar Jaanay Ki
Badal Dalo Ab Yeh Shaywaa Apna
Adat Achi Nahi Yeh Rolanay Ki
Kuch Tu Zabat Bhi Lazim Hy Magar
Mujh Mein Sakat Nahi Tumhay Bhoolanay Ki
Khud-Garaz Bala Ki Hy Mana'aye Gi Kaha'n
Zindagi Ki Adat Nahi Mananay Ki
Apni Yadden Bhi Cheen Lo Mujh Say
Umar Kaha'n Ab Inheny Mittanay Ki
Iss Rah Pay Zaat Bikhar Jaati Hy
Muhabat Mein Chaal Nahi Bachanay Ki
Ik Umar Talib-Ay- Baad-Ay-Saba Mein Guzzri
Hawaa Chali Tu Meri Loow Bujhanay Ki
Kuch Tu Faislah Ab Karo Amber
Koi Sanas Nahi Bachi Ab Jalanay Ki