Bachpan Ki Suhani Yadon Mein
Aik Lamha Purana Yad Aya
Mazi Ki Bholi Kitaboon Mein
Aik Waqat Purana Yad Aya
*Wo Shokhi Or Wo Chanchal Pan
Wo Masti Or Wo Pagalpan
Aaj Qadam Jo Rakha Bagon Mein
Wo Bag Purana Yad Aya
*Jab Barish Barsa Karti Thi
Kya Khob Halchal Hoti Thi
Barish Mein Bheega Karty Thy
Galyon Mein Chehal Pehal Hoti Thi
Aj Barsi Jo Zor Ki Barish To
Badal Ka Grajna Yad Aya
*Wo Jholy Jholna Bagon Mein
Wp Masti Karna Rahon Mein
Wo Girna Or Girana Bhi
Wo Darna Or Drana Bhi
Fursat K Haseen Sy Lamho Ka
Aik Lamha Purana Yad Aya
*Ajab Yaari Thi Yaroon Sy
Kya Khob Lrae Krty Thy
Kabi Rothna Choti Si Baton Py
Phir Khob Mnaya Krty Thy
Aaj Khud Sy Hoe Lrae To
Wo Rothna Manna Yad Aya
*Jab Tot’ta Koe Khilona To
Phir Khob Roya Krty Thy
Jab Milta Naya Khilona To
Sabko Hi Dikhaya Krty Thy
Aaj Daikha Jab Sary Khilono Ko
Wo Tota Khilona Yad Aya
*Jab Gurya Ki Shadi Krty Thy
Kya Jashan Mnaya Karty Thy
Methy Methy Pyar Bhary
Phir Geet B Gaya Karty Thy
Aaj Geet Jo Aya Honton Py
Wo Saaz Purana Yad Aya
*Wo Chand Ko Mamo Kehna Bhi
Or Paryon Ki Khani Sunna Bhi
Taroon Ki Thandi Chaon Taly
Phir Methi Nind So Jana Bhi
Aaj Hoe Jo Halaat Ki Fikar
*Ashu*
Wo Byfikri Ka Zmana Yad Aya