Add Poetry

Bad Gumani Ka Zehar

Poet: hina khalil By: hina khalil, faisalabad

Us Ne
Nihayat Khanda Peshani Se
Bohat Lateef Lehje Mn
Machli Hui Tabiat K Saath
Ehl E Zoq Ki Tarah
Tarang Mn Gaate Hue
Had Darja Tamaniyat Se
Suhane Aur Rooh Afza Waqt Mn
Zbrdast Quwat E Iradi Lye
Mjhe
Awaz Di Thi
Aur Mn
Bari Himmat Aur Awlul Azmi Se
Qismat E Khawbeeda Ka Jagne Ki Aarzu Lye
Joshe Shabab Mn
Subh E Kazib Ki Muntazir
Koi Laghoo Bat Kye Baghair
Nihayat Maqool Ta'ajub Se
Mateen Chehra Lye
Us Ki Zindagi Mn Khalal Andaz Hue Baghair
Kisi Musta,Ed Insan Ki Tarah
Intahai Mashooqana Andaz Mn
Farhan O Shadan
Is Khayal E Batil K Sath K
Mn Us Ki Manzoor E Nazar Nhi
Bari Sar'at Se
Bad Gumani Ka Zehar Pee Kr
Chalti Hi Chali Gai

Rate it:
Views: 1195
02 Jun, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets