Badla Nahi Jata

PoetHaroon ur Rasheed uDas Submitted byHaroon ur Rasheed uDas
Text size

Hum Se Pal Bhar Badalne Wala Khel Nahi Hota
Milain Galay Lga K Pher Dil Main Mail Nahi Hota

Zubaan Sheerein, Lehja Naram, Dil Main Kufur
Lakh Bura Sai Par Muj Main Is Munafiqat Ka Domail Nahi Hota

Dikha K Rasta Pher Khud He Loot Lena Rah Main
Eman Mera Kabi Is Tarah Fail Nahi Hota

Bana Leta Hai Jo Zaher O Batin Ayenaa Sa
Duniya O Akhrat Main Wo Shakhs Kabi Zaleel Nahi Hota

Hai Bashar He Marne Wala Aur Qatil Bi Bashar
Har Qatal Ka Zaamin Ab Izraaeel Nahi Hota

Kon Sahib E Izat Hai Khuda He Janay Haroon
Warna Har Mangne Wala Faqeer Razeel Nahi Hota

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied