Falak Par Jis Traf Dekhon
Andhera Hi Andhera He
Sitare Kis Liye Roothe
Nhi He Chaand Bhi Roshan
Idhar Ye Chandni Bhi To
Kisi Masum Bache Ki Trah
Naraz Lagti He
Zamin Zinda Salamat He
Magr Kala Kafan Pehne
Musalsal So Rhi He Kiyon?
Mujhe To Lagta He
Falak Se Chaand Taron Ne Na Dekha Ho
Barasti Ankh Ka Manzar
Wo Bheegi Rat Ka Manzar
K Jese
Koi Kashti Dubti Ho Beech Darya Min
K Jese Koi Sahil
Door Itna Door Ho
Ankhon Se Ojhal Ho
K Jese Ik Musafir
Rasta Apna Bhatak Jae
Mujhe To Lagta He
Falak Se Chaand Taron Ne
Ye Manzar Dekh Rakha He
Akeli Rat Ka Manzar
Wo Bheegi Rat Ka Manzar
Barasti Ankh Ka Manzar