Add Poetry

Be Naam Si Wehshat

Poet: Khalilullah Faroqi By: Minhal, karachi

Darde_Mushtariq
Koi Be Naam Si Wehshat
Kabhi Aesa Bhi Hota Hai
Koi Be_Naam Si Wehshat Mjhe Yo_Gher Leti Hai
Har Ek Seh Mujhe Zeher Lagti Hai
Koi Chehra Koi Pekar Mujhe Acha Nahi Lagta
Nihayat Rangeen Qurbat Bhi Mujhe Be_Qaif Karti Hai
Mujhe Apni Pasandeda
Wo Ek Namken Si Sorat
Phiki Phiki Si Lagti Hai
Tanazur Hi Badal Jata Hai
Meri Khush Nigahe,Khush Mizaji Ka
Mere Sunne Mere Chakhne
Mere Mehsos Karne Ki
Har Ek His Mar Si Jati Hai
Bhut Maqbol Meri Khush Kalami Bhi
Nihayat Be Raas_O_Mjhool Lehja
Orh Leti Hai
Pasandeda Mere Mashroob
Tak Mujhe Pasand Nahi
Phir Ek Din Zinda Khae Gi
"Suno Hare Howe Insan"
Bhala Kab Tak Tmhari Khud Farebi
Tum Ko Is Wehsht Me Rakhe Gi?

Jinhe Tum Zindagi Se Be_Dhakal Karke

Bazahair Fatehana Ahan Se Itrate Phirte Ho
Abhi Tak Zehn_ O_Dil Par
Roh Par Qabza Unhi Ka Hai
Ye Wehsaht Ek Kasak Hai
Gumshuda Loogo K Khone Ki,
Ye Wehshat Hi Sabab Hai Be Ashk Rone Ki

Rate it:
Views: 1156
18 May, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets