Be Rabt Husun_O_Ishq Ye Kaif_O_Asar Kahan
Thi Zindagi Azeez Magar Is Qadar Kahan
Tere Baghair Ronaq_E_Deewar_O_Dar Kahan
Shaam_O_Sahar Ka Naam Hai, Shaam_O_Sahar Kahan
Kiya Jaaniye Khayal Kahan Hai Nazar Kahan
Teri Khabar Ke Baad Khud Apni Khabar Kahan
Maana Ke Mohtasib Bhi Bara Ba Shaour Hai
Lekin Usay Nazakat_E_Gham Ki Khabar Kahan
Kahne Ko Ahl_E_Ilm Ki Koi Kami Nahi
Lekin Khud Apni Fikar, Khud Apni Nazar Kahan
Tark_E_Taaluqat Ko Mudat Guzar Chuki
Zaalim, Tere Khayal Se Phir Bhi Mufar Kahan
Arsa Hua Ke Rasm_E_Mohabbat Badal Chuki
Daaman Se Wo Muaamla_E_Chashm_E_Tar Kahan