Add Poetry

Bhale Koi Ghamo Ki Chaki Me Pis

Poet: Areeba baloch By: Areeba baloch, Multan

Bhale Koi Ghamo Ki Chaki Me Pis Jae
Ya Koi Dukho Ki Bhatti Me Jal Jae
Or Uske Jalte Wajood Ki Sakh Ko
Saba Qarya Qarya Liye Phire
Phir Bhi Ye Duniya
Sard Rehti He Beparwah Hr Dam
Mgr Phr Bhi
Tmhari To Ik Hi Sada Pr
Chale Aae Honge Log Hazaron
Hamare To Bain Pe Bhi
Kisi Ne Rukh Na Bdla Hoga
Tm Ne To Dekh Rkhe Honge
Kai Gulshan Khushiyon Ki Baharon
Mgr Mere Naseeb Me To Hr Rut
Bina Phoolon K Ai He
Sahe Honge Tm Ne Bhi Kuch Gham
Mgr Dagha Ki Hamayat Me
Lekin Hme To Bawafai K
Jurm Ne Mar Dala He
Tmhe B Kai Ghao Diye Honge
Apno K Teer Ne
Magr Phr Bhi
Tmhare Ghao Pe To
Marham Rkhne Ko Chale Aen
Log Ye Khabar Sunte Hi
Mgr Meri Wo Ankhen
Jinhen Zakhmi Kia He
Tamana Ki Kirchiyon Ne
Hr Wkt Barasti He
Tmhare Sath Ko Tarasti He
Chlo Phr Bhi Me Ye Tslim Krta Hon
K Mjh Se Ziada Dukhi Tm Ho
Magr Phr Bhi
Meri Ye Ghayal Rooh
Is Jahan Me Fakat
Sehne Ko Hi To Ai He
Mere Dil K Khamosh Ahaate Me
Roz Kai Mzar Bnte He
Mgr Un Pe Shama Jalane Ko
Ik Me Hi Jata Hun
Roz Kai Umeedon Ko Bikhair Kr
Labon Pe Muskan Saja Kr
Nae Ane Wale Ghamo Ka
Me Kher Maqdam Krta Hun
Bhle Koi Ghamo Ki Chaki Me Pis Jae
Ya Koi Dukhon Ki Bhatti Me Jal Jae
Magr Phr Bhi Ye Duniya
Sard Rehti He Beparwah Hr Dam
 

Rate it:
Views: 731
02 Jan, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets