Add Poetry

Bheegi Aankho Se Muskurane Me

Poet: M.Z By: M.Z, karachi

Bheegi Aankho Se Muskurane Me Maza Aur Hai
Haste Haste Palke Bhigane Me Maza Aur Hai
Baat Khehke Toh Koi Bhi Samjhe
Khamoshi Ko Koi Samjhe Toh Maza Aur Hai

Kanta Na Hota, Toh Phool Ki Hefazath Na Hoti
Andhera Na Hota,To Roshini Ki Zarurath Na Hoti
Agar Mil Jati Har Khushi Duniya Me
Toh Dil Ki Mulaqath Dard Se Na Hoti

Kaash Koi Khushiyon Ki Dukaan Hoti
Aur Mujhe Uski Pehchan Hoti
Kharid Leti Har Khushi Aapke Liye
Chahe Uski Keemath Meri Jaan Bhi Hoti

Juda Rehkar Bhi Woh Satane Se Baaz Nai Ate
Dur Rehkar Bhi Who Dil Jalane Se Baaz Nahi Ate
Khud Toh So Jate Hai Chain Se Magar
Khwab Me Aane Se Bhi Wo Baaz Nahi Aate

Rishton Ki Yeh Duniya Hai Niraali
Sab Rishton Se Pyaari Hai Tumhaari
Manzoor Hai Aansu Bhi Aankhon Me Hamari
Agar Aajaye Muskaan Honton Pe Tumhari

Rate it:
Views: 667
14 Dec, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets