Kaha Tha Tumko K
Kuch Bhol Na Paonga Mai
Par Ye Lazim Toh Nahi
K Har Mor Pe Yaad Aonga Mai
Dil Ki Baton Ka Fasana Likhna Socha Toh Likh Na Paya
Socha Na Tha K Teri Mohabbat Me Itna Bhatak Jaonga Mai
Q Yaad Ajati Ho Haar Sham Andhere K Baad
Lagta Hai Aj Phir Thek Se Rou Na Paonga Mai
Pyar Karta Tha Karta Ho Aur Shayad Karunga
Par Koi Aur Teri Jagah Lele Ye Na Seh Paonga Mai
Puchte Hain Log K Q Badal Gaye Ho Hasan
Aur Muskura K Keh Deta Ho K Phir Na Pehle Sa Ho Paonga Mai