Bhoolna Chahta Hoon
Poet: By: Shahzad Ahmed , SukkurDuniya Sey Muje Piyar Tha
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Ik Shakhs Mera Yaar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon
 
 Wo Hijar Ki Raton K Sulagtey Huey Lamhe 
 Ankhon Pe Koi Bhar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon
 
 Haan Meari Khata Thi K Tujhe Toot K Chaha 
 Han Mein He Gunahgar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon
 
 Yeh Kis Ne Mujhe Dhoop Ka Ik Roop Diya Hai 
 Mein Saya-E-Deewar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Ab Ghum Mujhe Deemak Ki Tarah Chaat Rahe Hein 
 Mein Khushiyon Sey Sarshar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon
 
 Bakhshi Hai Mujhe Piyar K Badle Mein Judai 
 Jo Bhi Tera Kirdar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Ankhein Shab E Furqat Mein Raha Kerti Thein Pur Nam
 Mein Tera Talab Gar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Bas Itna Mujhe Yad Hai Ik Wasal Ki Shab Thi 
 Ikrar Tha Inkar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Sach Maan K Ab Kuch Bhi Yad Nahi Hai Mujh Ko 
 Tu Kis Ka Tarafdar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Ik Shaks Ne Pagal Sa Bana Rakha Hai Wasiq 
 Mein Kitna Samajhdar Tha 
 Sab Bhoolna Chahta Hoon 
 
 Duniya Sey Mujhe Piyar Tha 
 Ik Shaks Mera Yaar Tha
 Sab Bhoolna Chahta Hoon







