Add Poetry

Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Mere Khaton Ko Jalane Ki Ijazat Hai Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Tum Ye Wada Bhi Karo Yaad Na Aaogi Kabhi
Tum Mere Khaabon Mai Na Jagmagaaogi Kabhi

Mera Har Nishaan Mitane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Kisi Bhi Rah Pe Main Tumko Na Talaash Karun
Tum Mera Vishwaas Karo Main Tumhaara Vishwaas Karun

Meri Tasveer Jalane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Koi Bhi Dard Ho Tanha Hi Tumhe Sehna Hoga
Mere Bagair Ab Ta-Umar Tumhe Rehna Hoga

Ab Naye Khaab Sajane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Agar Bhoole Se Kisi Morr Pe Mil Jaayenge
Karo Wada Ke Qatra Ke Nikal Jaayenge

Ab Kisi Aur Ko Apna Banane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Mera Kya Hai Main Apna Dil Laga Lunga
Iss Zamaane Se Kahin Door Ghar Basa Lunga

Tum Chali Jaao Ke Jaane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Tum Mere Baad Kahin Aur Dil Laga Lena
"Shams" Mil Jaaye Jahan Koi Aashiyana Bana Lena

Har Khushi Apni Manane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe

Mere Khaton Ko Jalane Ki Ijazat Hai Tumhe
Mujhe Bhool Jaao Ke Bhulane Ki Ijazat Hai Tumhe
 

Rate it:
Views: 1315
22 Sep, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets