Bikay Howay Hain Hum Ishq K Bazar Main
Jahan Jafa Hay Aj Kal Iqtidar Main
Kahan Milay Gi Meri Wafa Ki Koi Kimat
In Mufad Saz Logoon K Shuaar Main
Tanhaiyan, Ahain Or Anso Kitnay Hi
Lagay Hain Ik Lafaz Wafa K Singhar Main
Kaha Tum Nay Jab Say Baymol Hay Wafa Tumhari
Bikhar Giya Sab Khuch, Khuch Na Raha Ikhtiyar Main
Shamian, Ratain Or Din Guzartay Hian Waisay Hi
Par Kahan Kattay Hain Ab Ye Qarar Main
Har Koi Khud Ko Samjhta Hay Sarapa Muhbbat Yahan
Nafratain Milti Hain, Muhbbatoon K Andaz Main
Tot Para Zamana Ki Jurm Ki Padash Main
Jurm Hay K Pagal Hun Mian Teray Piyar Main
Jaam Ka Daur Ik Or Ho Jae O Meray Saqi
Maza Ata Hay Teri Nighaoon K Khumar Main
Baykhudi Main Hay Parha Tujh Ko Tasbeehoon Par
Daykhi Hay Teri Sorat Sajdoon K Andaz Main
Pooj Rahi Hun Tujhe Bitha K Apnay Dil Main
Saja Rahkha Hay Pather Hum Nay Kanch K Diyar Main
Kaisay Na Maroon Pal Pal Teri Judai Main
Rooh Ban K Utra Hay Tu Meray Dil-E-Zaar Main
Meri Kul Kainaat Ka Meedar Hay Tu
Bam-E-Lab Ata Hay Tera Naam Har Phukar Main
Ye Nahi Kehti K Ho Gay Ho Baywafa Tum
Ghiray Ho Gay Kai Majboriyon K Hissar Main
Hum Say Bichrnay Ka Zara To Gum Hota Tumhe B
Baray Khush Dhiktay Ho Mehfil-E-Agiyaar Main
Dil Hay K Dharaknay Ko Razi Hi Nahi Bella
Dua Do K So Jain Hum Maut K Gaar Main