Add Poetry

Book Name (Dastaan)

Poet: ayaz By: ayaz ali ayaz, usta mohammad jaffar abad

Namaz-E-Ishq Ko Humse To Qaza Hona Tha
Faraz-E-Duniya Ko Bhi Duniya Main Ada Hona Tha

Usay Khoya Hai To Abb Kho K Na Rona Dil
Jism-O-Jaa'n Ko To Ek Roz Juda Hona Tha

Shab Bhar Ki Tadap Aur Yeh Ankhon Ki Nami
Kia Aisa Hi Mohabat Ka Selaah Hona Tha

Lakh Chahien Magar Na Kar Sakien Gay Kuch B Tabeeb
Elaaj-E-Ishq Main Dilbar Ko Dawa Hona Tha

Kouin Hairaa'n Howe Howe Dekh K Larzish Ko Meri
Unki Ankhon Main Jo Dekha To Nasha Hona Tha

Har Saans Parhay Unki Jo Tasbhi To Ayaz
Aisi Chahat Pay To Butt Ko Bhi Khuda Hona Tha

Rate it:
Views: 536
05 May, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets