Bure Halat Ne Sub Kuch Sikha Diya Hai Apna Sathi Bana Ker
Nahi Hota Koi Bashar Apna Bananein Wala Iss Dur E Zinadagi Mein
Na Jane Kiyuon Chor Jatey Hein Apney Ghair Samaj Ker Younhi
Khon Ke Rishtoun Ki Qader Bhol Jatey Hein Iss Dor E Zindagi Mein
Ghair Tu Rakh Hi Detey Hein Hath Shafqat Ka Ser Pe Akser
Na Janey Kiyuon Munh Phair Letey Hein Apney Hi Iss Dur E Zindagi Mein
Mein Ne Ik Din Kaha Tha Uss Se Batoun Hi Batoun Mein
Nahi Banteyy Hein Rishteyy Nafrat Se Iss Dur E Zindagi Mein
Mujh Ko Rulaa Ker Mujhi Se Woh Kehta Hai Ke Mat Roya Ker
Kisi Ki Ankhoun Mein Bewaja Ke Ansoun Acchay Nahi Lagtey Iss Dor E Zindagi Mein
Be Waja Kon Bahata Hai Ansoun Apni Ankhoun Say Bhala
Kiyuon Ye Log Inhein Mehezz Pani Hi Samjtey Hein Iss Dor E Zindagi Mein
Mein Ne Likha Sirf Apni Dil Ki Tahreer Ko Kaghaz Ki Satroun Per
Ye Logg Isay Shaaerry Samajtey Hein Iss Dor E Zindagi Mein