Add Poetry

Chahoo Jo Meri Khataoon Ki Saza

Poet: Adnan By: Adnan, Spain

Chahoo Jo Meri Khataoon Ki Saza Do Mujh Ko
Per Khata Kya Hai Zara Itna Bata Do Mujh Ko

Meiney Chaha Tha Sanam Tum Ko Tu Aakhir Kyun Kar
In Wafaoon K Siley Aisi Wafa Do Mujh Ko

Bhoolna Tum Ko Hamarey Liey Na Mumkin Hai
Jo Ho Sakey Tu Sanam Tum Hi Bhula Do Mujh Ko

Har Ghari Goonjti Rehti Teri Kanoo Me Hansi
Tum Kahan Ho, Kahin Se Tu Sada Do Mujh Ko

Ab Bhi Aati Hain Mujhey Yaad Woh Pyari Baatien
Phir Se Ik Baar Wohi Pyar Jata Do Mujh Ko

Kehtey Ho Tum Ne Humien Zehen Se Mudkhal Hai Kia
Gar Jo Mumkin Ho Tu Phir Dil Se Hata Do Mujh Ko

Saari Umeedoon Ko Nakaam Hotey Dekha Hai
Apni Umeed Ki Ab Tum Hi Fana Do Mujh Ko

Mujh Ko Andazey Sukhan Ka Abhi Andaza Nahin
De K Takleef Humien Husn-E-Shara Do Mujh Ko

Paa K Dunya Ko Kabhi Khush Nahin Hota Hon Mein
Gar Jo Alfaz-E-Muhabbat Na Ata Ho Mujh Ko

Ab Agar Sooch Hi Lia Hai Jo Qata Ka "SAAIR"
Mein Mar Hi Jaaon Koi Aisi Saza Do Mujh Ko

Rate it:
Views: 898
11 May, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets