Chandd Kaghaz Kay Tukrho,N Kay Peechay Parhay Hai,N
Issi Ko Hai,N Jeeay Bus Issi Ko Maray Hai,N
Ajeeb Manzer Hay Iss Noto,N Ki Larhaii Ka
Koe Ooper Tto Koe Neechay Parhe,N Hai,N
Chandd Kaghaz Kay Tukrho,N Kay Peechay Parhay Hai,N
Issi Ko Hai,N Jeeay Bus Issi Ko Maray Hai,N
Na Mazhab Na Ishk Na Umr-E-Rawa,N Ka
Khayaal Raha Na Apni Bhi Hayaa Ka
Hain Gore Kay Rahii Bhi Daad Kay Kabil
Kay Dum Nahi Bakii Aur Phir Bhi Kharhay Hain
Chandd Kaghaz Kay Tukrho,N Kay Peechay Parhay Hai,N
Issi Ko Hai,N Jeeay Bus Issi Ko Maray Hai,N
Yehee Dhoondtay Hai,N Mammta Kay Qadmo,N Talay Bhi
Rehi Duaa Yehee Baaki Ub Sajdo,N Talay Bhi
Ehl-E-Zar Jo Hai,N Wohee Hai,N Bu S Apnay
Yu,N Matlab Ki Chader Orhay Parhay Hai,N
Chandd Kaghaz Kay Tukrho,N Kay Peechay Parhay Hai,N
Issi Ko Hai,N Jeeay Bus Issi Ko Maray Hai,N
Na Khuda Ka Dheha,N Na Khudaaii Ka Khayaal
Na Iss Faani Jaha,N Ki Judaaii Ka Khayal
Chandd Dhahago,N Ka Bister Aur Ik Kona Zamee,N Ka
Ye Haasil Tha Jiss Waste Saalo,N Chalay Hai,N