Chonch Mein Bulbul Liye Barg_E_Gul_E_Gulzar Thi
Is Khushi Mein Nagham Zanba Naiha_E_Zaar Thi
Ain_E_Visal Aur Nala? Hairat Ho Gai Aakhir Khula
Husan_E_Janaan Ka Taqaza Tha, Wo Khud Nachar Thi
Heech Sub Ajz_O_Niyaz Apna, Huzoor_E_Husan_E_Dost
Haye Wo Qismat Haseeno Se Jo Bar_Khurdar Thi
Aik Dam Aa Kar Na Baitha Paas Kiya Shikwa Karen?
Padsha_E_Kamran Ko Godriyon Se Aar Thi
Aao Us Naqash Ke Nok_E_Qalam Par Jaan Dein
Ye Ajaib Rakhti Jis Ki Gardish_E_Parkar Thi
Hai Mureed Raah_E_Ishq, Aur Khof Badnami Kiya?
Saja_E_San'an To Rehan_E_Khana_E_Khumar Thi
Us Pari Ke Zair_E_Qasr_E_Hoor Hafiz Ki Har Aankh
Aayat Janat_U_Tajri Tehtiha Al_Nahar Thi