Meri Ibteda Tere Naam Se Meri Inteha Tera Naam Hai
Mujhey Arzo Tere Naam Ki Meri Justju Tera Naam Hai
Meri Her Ada Tere Naam Se Meri Her Nida Tera Naam Hai
Mujey Abru Tere Naam Ki Meri Guftgu Tera Naam Hai
"Sahil" Kehey Din Nikle Tere Naam Se Tere Naam Pe Subho Sham Hai
Kia Arsh Pe Kia Farsh Pe Tera Churcha Har Su Aam Hai
Jab Dil Mein Dard Sa Uth-Ta Hai
Tu Dukh Mein Qalam Utha-Ta Hon
Mujhey Shaoq Nahi Hai Shaeri Ka
Mein Gham Mein Shaer Banata Hon
Maloom Tumhain Yeh Dard Kahan Se Atey Hain
Kuch Log Hain Aisay Dunya Main Jo Man Main Yun Bas Jatey Hain
Phir Dil Bhi Apna, Apney Se Bas Sab Kuch Hi Le Jata Hai
Yeh Dekh Lia Iss Dunya Main Kia Halat Hai Dewano Ki
Ab "Sahil" Bhi Tu Apno Main Ek Pagal Sa Kehla Ta Hai
Nigahon Se Tum Ne Kia Hum Ko Zakhmi,
Adaein Dekha Kar Sitam Dha Gaey Ho,
"Sahil" Abhi Tak Purane Zakham Na Bhare Thay,
Ke Aj Jatey Huey Phir Nazar Agey Ho
Dil Phir Dukha Hum Phir Roey
Abhi Ro Ro Kar Thak Baithay Thay, Dil Phir Tarpa Hum Phir Roey,
Shab Rotey Rotey Beet Gaei Na Dil Soya Na Hum Soey,
Woh Shakhs Tu Ek Anjaan Sa Tha, Jisay Dukh Apna Hum Keh Baithay,
Dukh Suntay Hi Woh Roya Tha, Usay Dekh Ke Yun Hum Phir Roye,
Kion Dil Ke Dareechon Par Meray Ek Dukh Ka Pehra Baitha Hai,
Hum Dukh Main Tu Rotay Hain Liken, Jab Sukh Mila Tu Phir Roey,
"Sahil" Ek Dard Hai Zalim Aisa Bhi, Jo Dil Main Ghar Kar Baitah Hai,
Ussey Dekh Ke Kuch Yaad Ata Hai, Jab Yaad Aya Tu Phir Roey
Ek Tip Tip Karte Ashk Hain Mere, Ek Saath Lagi Barsat Bhi Hai
Ek Tanha Se Hum Baithay Hain, Ek Ghum Mein Dobi Raat Bhi Hai
Ek Dil Ka Tarapna Sath Mere Ek Unki Sulagti Yad Bhi Hai
"Sahil" Dil Ke Pinhan Dardon Ko Kab Chain Milay Maloom Nahi
Yun Hath Tu Uth-Te Sab Ke Hain Bas Un Pe Utki Aas Si Hai
Teri Dosti Bhi Kia Dosti Hai, Tum Ko Nibhana Tu Aya Nahi Hai
Muhabat Ki Batain Tu Karte Bahut Ho, Abhi Dil Lagana Tu Aya Nahi Hai
Khushiyan Tu Tum Ne Dekhi Bahut Hain, Khushion Ki Wadi Mein Rehte Rehe Ho
Ghamon Ki Ek Rah-Guzar Se Jo Guzre Abhi Uss Pe Chalna Tu Aya Nahi Hai
"Sahil" Hijran Ke Dardon Ko Tum Kaise Samjho, Iski Tarap Se Tu Anjan Ho Tum
Kabhi Jaag Ke Tum Ne Ratain Na Katein, Kabhi Tum Ne Aansu Bahaya Nahi Hai
Kuch Dair Hamare Paas Ruku Hum Dil Ka Hal Bata Dein Ge
Jo Beet Gaya Jo Beeta Hai Woh Qissa-E Gham Suna Dein Ge
Tum Baat Karo Gay Auron Ki Hum Apni Baat Bata Dein Ge
Jin Sadmon Se Hum Guzre Hain Jo Zulm Humare Saath Huey
Tum Bat Karo Gay Zakhmon Ki Hum Dil Ke Daagh Dekha Dein Ge
"Sahil" Ek Dar Sa Dil Mein Rehta Hai Ilzam Na Aey Koi Un Par
Jab Bat Chali Ruswaei Ki Hum Apna Naam Bata Dein Ge
Khushiyan Mein Tujh Ko Soonp Don Apne Naseeb Ki,
Sab Gham Samait Lon Mein Teri Hayat Ke
Jholi Mein Teri Dal Don Ujaley Jahan Ke,
Andhere Mein Sab Samait Lon Teri Kali Raat Ke
Teray Hijar Main Kitney Ansu Baha Baithay,
Phool Teri Yadon Ke, Dil Main Saja Baithay,
Hum Ne Judaei Ko Bhi Teri Nishani Samjha,
Tum To Meri Yadon Ko Dil Se Mita Baithay,
Din Tu Teray Naam Thay Raatain Bhi Terey Naam Ki
Har Shab Hi Apni Neend Se Jhagra Bana Baithay
Aankhain Bhi Thak Gai Hain Teri Rah Taktey Taktey,
Arey Ab Tu Aja Zalim , Hum Khud Ko Mita Bhaithay,
Hum Jantey Hain Kis Ne Mara Hai Hum Ko "Sahil"
Kion Log Sarey Maot Pe Ilzam Laga Baithay
Teray Hijar Main Kitney Ansu Baha Baithay,
Phool Teri Yadon Ke, Dil Main Saja Baithay,
Hum Ne Judaei Ko Bhi Teri Nishani Samjha,
Tum To Meri Yadon Ko Dil Se Mita Baithay,
Din Tu Teray Naam Thay Raatain Bhi Terey Naam Ki
Har Shab Hi Apni Neend Se Jhagra Bana Baithay
Aankhain Bhi Thak Gai Hain Teri Rah Taktey Taktey,
Arey Ab Tu Aja Zalim , Hum Khud Ko Mita Bhaithay,
Hum Jantey Hain Kis Ne Mara Hai Hum Ko "Sahil"
Kion Log Sarey Maot Pe Ilzam Laga Baithay
"Sahil" Marna Tu Apna Aaj Kissi Kaam Agaya
Aaj Woh Bhi Arehe Hain Mayyat Ko Dekhne
Kabhi Jo Muntazir Rehte Thay Meri Amed Ke Waste
Ab Mujh Ko Ata Dekh Kar Woh Nazrein Phair Lete Hain