Aaina Dhoop Ka Dariya Hai Dikhata Hai Mujhe
Mera Dushman Mere Lehje Mey Bulata Hai Mujhe
Aansuon Se Meri Tehreer Nahi Mit Sakti
Koi Kaghaz Hun Jo Paani Se Darata Hai Mujhe
Sar Pe Sooraj Ki Sawari Manzoor Nahi Mujhe
Apna Qad Dhoop Mey Chhota Nazar Ata Hai Mujhe
Doodh Peete Huwe Bachey Ki Tarah Hai Dil Bhi
Din Mey So Jata Hai Raaton Mey Jagata Hai Mujhe
Dhoop Ki Aag Mey Sholon Ka Badan Roshan Hai
Saat Rangon Se Tera Dard Sajata Hai Mujhe
Roz Kehta Hai K Girti Huwi Deewar Hun Main
Ek Baadal Hai Jo Reh Reh Ke Darata Hai Mujhe
Ye Mere Sath Jo Rehta Hai Koi Pathar Hai
Na Hansata Hai Mujhe Na Rulata Hai Mujhe
Esa Lagta Hai K Us Ne Mujhe Ghalib Jana
Na Uthata Hai Mujhe Aur Na Bithata Hai Mujhe