Add Poetry

Dard Ki Daulat

Poet: Awais Khan By: Awais Khan, Burewala

Jo Hadse Yeh Jahaan Mere Naam Karta Hai
Bare Khuloos Se Dil Nazr-E-Jaam Karta Hai

Hami Se Koos-E-Qaza Ko Mili Hai Rangeene
Hamare Dar Pe Zamana Qayaam Karta Hai

Hamare Chaak Girebaan Se Khelne Walon
Hame Bahaar Ka Sooraj Salaam Karta Hai

Ye Mai-Qada Hai Yahan Ki Har Shay Ka Hazoor
Ghame-E-Hayaat Bahut Ahteraam Karta Hai

Fakih-E-Shahar Ne Yeh Tohmat Lagai “Saghar” Par
Yeh Shaks Dard Ki Daulat Ko Aam Karta Hai

Rate it:
Views: 1440
04 Dec, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets