Add Poetry

Dargah-e-dill pay ik bujhta SAA diya hai!!!

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: Syeda sadia amber jilani, FaisalAbad, Punjab, pakistan

Dargah-E-Dill Pe Ik Bujhta Saa Diya Hai
Naam Hum Nay Jisay Muhbat Ka Dia Hai

Ik Tu Ik Teray Wisal Ki Baat
Mansob Har Lafaz Tujh Say Hi Kaha Hai

Meray Zaraf Pay Ungliya'n Uthanay Walo
Apnay Kirdar Ka Parkho Wasaf Kiya Hai

Dasht-E-Zaat Mein Bikhar K Hum Nay
Zakham Har Aik Khud Apna Siyaa Hai

Apni Zaat K Mehwar Mein Hum Jalnay Walay
Dhowaa'n Sulaghnay Ka Kab Apna Uthaa Hai

Shamil Mujh Mein Raha Tu Meri Tarah
Zindagi Meri Ko Tu Hi To Jeeya Hai

Asaib-E-Dard Raha Uss Pay Sadaa
Naam Jiss Nay Muhabat Ka Liya Hai

Gira Kar Anaa-E-Zaat Bhi Apni Amber
Hum Nay Khud Bhi Ko Teray Naam Kiya Hai

Rate it:
Views: 1545
17 Mar, 2016
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets