Add Poetry

Darne Laga Hun

Poet: Haroon Ur Rasheed uDas By: Haroon Ur Rasheed uDas, Muzaffarabad Azad Kashmir

Ab Is Wehshat-E--Tanhai se Darne Laga Hai
Dil To Jaise Us Bin Ab Bas Marne Laga Hai

Bhot Rok Ke Rakhta Hun Us Ki Yaadon se
Par Dil To Jaise Ab Sar Lagne Laga Ho

Bhool Gaya Hoga Wo Ab Shayad Qissa Pyar Ka
Muddat Se Ye Bat Khud Ko Samjhane Laga Hun

Waqt-E-Rukhsat Us Ne Palat K Mere Ansoo Tak Na Dekhe
Na Jane Q Tab Se Faryaad Karne Laga Hun

Kia Aise Bi Koi Kisi Ko Bhula Saktaa Hai???
Khud Se Ulujh Ulujh K Sawal Karne Laga Hun

Hua Hai Aisa Kia Pehle B Haroon Sa Kisi Se???
Waqt-E-Fursat Main Ab Kasrat Se Sochne Laga Hun

Dastoor-E-Fitrat Hai Bewafai Ya Dastoor-E-Hayat???
Yaad Ke Lamhon Main Ab Istisfar Karne Laga Hun

Log Kehte Hain Bhool Jao Usay Haroon
Main Logon Se Is Bat Pe Takraar Karne Laga Hun

Ya Khuda Sukoon-E-Qalab De De Ab
Sar-E-Aam Galti-E-Muhabbat Ka Iqrar Karne Laga Hun

Rate it:
Views: 780
07 Sep, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets