Sach Ki Raah Pe Chalne Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Gairo’n Se Nahi Apno Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Kitne Tufa’n Meri Zindgi Mein Aakar Chale Gaye
Ab Hawa Ke Jhonko’n Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Kitno Ne Aankhe’n Band Kar Ke, Kitno Ki Aankhe’n Khol Di
Ab Maut Ke Nange Naach Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Ek Nuqtey Ke Farq Ne Unhein Khuda Se Juda Kardiya
Ab Aisa Kuch Likhne Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Jin Darakhto’n Ko Sahara Diya Humne Tufano Mein
Aaj Unke Saaye Mein Baithne Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Aah Bharti Hui Siskiya’n Saaf Nazar Aa Rahi Hain
Jane Kyun Teri Khamoshi Se Yaha’n Darr Lagta Hai
Shakir Ye Be-bass Shaher Hai, Aur Zalim Hai Hukmara’n
Jane Kyun Izhar-e-Khayal Karne Se Yaha’n Darr Lagta Hai