Dasto Pa Ke Nahin Dekhey Kabhi Chaley Hamne
Rastey Sakht Chatanon Se Nikaley Hamne
Itne Majboor Hain Takmeel E Talab Main Ham Log
Raat Ko Sonp Diye Din Ke Ujaley Ham Ne
Ham Se Dekhi Na Gayi Jab Tri Tira Bakhti
Aasman Teri Taraf Chand Uchaley Ham Ne
Haye Bechargi Patjharh Ke Darakhton Ki Tarah
Kar Diya Khud Ko Hawaon Ke Hawaley Ham Ne
Khench Kar Chadaren Behnon Ke Saron Se Kuch Log
Fakhr Se Kehtey Hain Batey Hain Dushaley Hamne
Apne Hi Cehrey Se Hai Itni Karahat “Muneeb”
Aaine Ghar Ke Sabhi Kar Diye Kaley Humne