Add Poetry

Daur-E-Wasl Mein Yeh Naubat Aagayi Hai “Haseeb”

Poet: lost soul By: haseeb, karachi

Umeedon Ke Saharey Jee Kar Khud Ko Dhoka Deta Hoon
Teri Yaad Mein Jal Kar Rooh Ko Aziyat Deta Hoon

Parwaah Nahin Karta Koi Kya Samajhta Hai Mujhe
Koi Maange Nafrat Bhi, Tou Mohabbat Lazawaal Deta Hon

Har Baar Ishaarey Deti Hai Woh Judai Ke
Har Baar Mein Muskuraa Ke Taal Deta Hoon

Aa Chal Thaam Le Ab Tu Mera Hath
Tere Naam Ko Mein Apna Naam Deta Hoon

Torra Nahin Aik Muddat Se Ab Kisi Ka Dil Bhi
Koi Maange Sath To Dil Mein Jagha Deta Hoon

Daur-E-Wasl Mein Yeh Naubat Aagayi Hai “Haseeb”
Apne Hathon Ko Tere Hathon Se Mila Deta Hoon
 

Rate it:
Views: 342
21 Apr, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets