Add Poetry

December Ab K Aao To

Poet: By: rimsha, Warmingham

December Ab K Aao To,
Tm Us Sher-E-Tamana Ki Khabar Lana,
K Jis Main Jagunyun Ki Kahkshain Jilmilati Hain,
Jahan Titli K Ranghun Se Fizain Muskurati Hain,
Wahan Charun Tarf Khushbu Wafa Ki Hai,
Or Us Ko B Porun Se Nazar Se Cho Gaya Pal Bhar,
Mahak Utha,
Jahan Pr Rait K Zare Sitare Hain,
Gul-O-Bulbal,Mah-O-Anjam Wafa I Istahare Hain,
Jahan Dil Wo Samandar Hai Kai Jis K Kinare Hain,
Jahan Qismat Ki Devi Muthion Main Jagmagati Hai,
Jahan Dharkan Ki Hr Leh Pr Behudi Nagme Sunati Hai,
December Hm Se NA Pocho Hamare Sher Ki Babat,
Yahan Aankhun Main Guzre Karwan Ki Gard Tehri Hai,
Mohhabat Barf Jaisi Hai Yahan,
Or Dhop K Khatiyun Main Ughti Hai,
Yahan Jazbun Ki Toti Chirchian Aankhun Main Chubti Hain,
Yahan Dil K Lahu Main Apni Palkun Ko Dabo Kr Hm Sunehre Khwab Bunte Hain,
Pir In Khwabyun Main Jete Hain Unhi Khwabyun Main Marte Hain,
Magr Pir B,
December Ab K Aao To,
Tm Us Sher-E-Tamana Ki Khabr Lana!!!
K Jis Main Jugnyun Ki Kehshian Jilmilati Hain,
Jahan Charun Tarf Fizain Muskurati Hain,
Wahan Charun Tarf Khushbu Wafa Ki Hai,
December Ab K Aao To....!!
 

Rate it:
Views: 2307
05 Dec, 2011
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets