Hum Ne Apno Ko Aksar Badal Tey Dekha Hai
Aur Un Spnoon Ko Bhi Bikhar Tey Dekha Hai
To Mat Soch Ke Bin Tere Wo Ji Nahi Sakta
Hum Ne Malha Ko Bin Kashti Sanbhal Te Dekha Hai
Tujh Ko Bohat Garor Hai Apni Jawani Ka
Easy Husan Ko Kai Baar Hum Ne Dhalte Dekha Hai
Jis Qadar Jala Hon Mein Teri Judai Mein
Easa Tu Ne Kabhi Koi Deep Jalte Dekha Hai
Tu Na Aaye Ga Khaber Hai Phir Bhi Raat Bhar
Aankhon Ko Teri Hi Raha Takte Dekha Hai