Add Poetry

Definati0n 0f Smile

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, Multan

Nasoor E Khasta Haali Par, Deewaar Jab Hanse
Ajeeb Fail Lagta Hai, Bimaar Jab Hanse

Qabuliyat Ki Shaan Me, Gustakh Amar Hai
Duaon Ki Parwaz Me, Pukaar Jab Hanse

Apne Intkhab Pe, Roti Hen Manzilen
Swari Ki Thakaan Pe, Swaar Jab Hanse

Fun ! Mureed Hota Hai, Ayyoobi Sabar Ka
Bhooke Sung'Trash Pe, Shahkaar Jab Hanse

Haqarat ! Dast E Ghair Me, Ra'oOnat E Balqees
Naqd E Jaan K Ewaz, Udhaar Jab Hanse

Kashish Ko ! Izraeel Wahan, Ghoorne Lage
Dasht E Dil Me, Hurmat E Murdaar Jab Hanse

Be'Basi K Sar Se, Jese ! Chhin Gai Rida
Labon Ko Chheelte Hue, Rukhsaar Jab Hanse

Khushi Ki Devi ! Leti Hai, Amkaan Me Janam
Nigahon Ki Zanbeel Me, Deenaar Jab Hanse

Zu Ma'ani Guftguon Ka, Meena Bazaar Ho
Badan Ki Jhooti Saij Par, Bukhaar Jab Hanse

RAZAB ! Hmara Ranj Tha, Farishta E Khisaal
Apne Haal E Zaar Pe, Ik'baar Jab Hanse

Rate it:
Views: 313
04 Jan, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets