Dil

PoetFarhat Abbas Shah Submitted byRao Adnan
Text size

Dil Kisi Yaar-E- Bawafa Ki Tarah
Bakhabr Hai Buhat Khuda Ki Tarah

Zandgi Bher Tumhara Naam Mere
Dil Se Nikla Kisi Dua Ki Tarah

Main Ne Her More Per Tujhay Dhonda
Hijir Ke Sheher Ki Hawa Ki Tarah

Umer Bher Tera Dukh Utaya Hai
Waqat Ki Di Howi Saza Ki Tarah

Kuch Nahi Sojhta Mohabbat Main
Khuf Aur Gham Ki Intiha Ki Tarah

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied