Dil Hi Toh Hain Ranj-O-Gham Ka Aalam Hain
Tu Keu Nahi Samjta Aiy Dil Dunya Bohat Zaalim Hain
Aiy Qaasid Zara Ther Jaa Meri Baatain Zara Tu Yaad Kar
Kuch Pal Meri Tanhaai Main Apne Hi Abad Kar
Aiy Zindagi Zara Dheeme Chal
Iss Dunya Say Dil Bhar Gaya
U Aahat Zara Unki Aane Lagi
Aur Rooh Parwaz Ko Jane Lagi
Farooqi Toh Sehma Hoa Tha Magar
Dil Us Ka Kucha-A-Yar Main Hain
Tanhaai Ki Girfat Laraz Rahi Thi
Farooqi Ko Mout Pakar Rahi Thi
Tere Jane K Baad Udhas Sabhi They
Farooqi K Gham Bay Hisab Kahi They
Yay Muhabat Yay Baatain Sabhi Nakam Hoi
Farooqi Ki Muhabat Main Shaam Hoi
Wo Qaaim Raha Apne Daawo Par
Aur Saanso Ki Dewaar Main Darar Hoi