Dukh
Poet: Wasif By: Wasif Mehmood, sialkotLabon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
 Dilon Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle
 
 Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
 Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle
 
 Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte Thay
 Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle
 
 Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut.Te Honge
 Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle
 
 Ye Saare Rang Murdaa Thay Tumhaari Shakl Banne Tak
 Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle
  
 Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Wasif Ihtiyatan Hum
 Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle
More Sad Poetry








 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 