Add Poetry

Dukh Shumar Karain

Poet: Shabeeb Hashmi By: Shabeeb Hashmi, Al-Khobar K.S.A

Dukh Shumar Karain Tu Sans Ukhar Jati Hai
Khawabon Ko Rakh Karain Tu Basti Ujar Jati Hai

Woh Jo Ahsas Tha Hatheli Pay Saja Rakha Hai
Kat Jain Hath Tu Kismat Bhi Badal Jati Hai

Aisi Wehshat Hai Kah Jis Ka Koi Madawa Bhi Nahi
Mujzay Ki Ass Pay Her Sham Guzar Jati Hai

Ujaray Shehr Aur Galiyoon Main Kia Matam Barpa
Kiya Hai Ab Unki Saza Munsaf Pay Nazar Jati Hai

Jaltay Armanoon Ko Dewaroon Pay Saja Rakha Hai
Dhoop Ki Shedat Say Meri Jan Bhi Jal Jati Hai

Na Jalaoo Shamoon Ko Aur Phool Bhi Mat Laoo
Roshni Ankh Main Aye Tu Peghal Jati Hai

Mang Main Rakh Hai Tu Anchal Ko Laga Chand Grehan
Raat Ki Siyahi Usay Aur Bhi Veran Kar Jati Hai

Rate it:
Views: 369
15 Dec, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets