Ek Hunar Hai Jo Kar Gayaa Huun Main
Sab Ke Dil Se Utar Gayaa Huun Main
Kaise Apnii Hansii Ko Zabt Karuun
Sun Rahaa Huun Ke Ghar Gayaa Huun Main
Kyaa Bataauun Ke Mar Nahiin Paataa
Jiite Ji Jab Se Mar Gayaa Huun Main
Ab Hai Bus Apna Saamnaa Darpesh
Har Kisii Se Guzar Gayaa Huun Main
Voh Hii Naaz-O-Adaa, Voh Hii Ghamze
Sar-Ba-Sar Aap Par Gayaa Huun Main
Ajab Ilzaam Huun Zamaane Kaa
Ke Yahaan Sab Ke Sar Gayaa Huun Main
Kabhii Khud Tak Pahunch Nahiin Paayaa
Jab Keh Vaan Umr Bhar Gayaa Huun Main
Tum Se Jaanaan Milaa Huun Jis Din Se
Be-Tarah, Khud Se Dar Gayaa Huun Main
Kuu–E–Jaanaan Men Sog Barpaa Hai
Ke Achaanak, Sudhar Gayaa Huun Main