Add Poetry

Ek Pagal Pagal Si Larki

Poet: Riz By: Rizwan Ahmed, Lahore

Ek Pagal Pagal Si Larki
Dil Toornay Se Darti Thi
Har Pal Har Lamha Khud Se Woh Jhagarti Thi
Ansoo Kiun Aye Kisi Ankh Main
 Mujrim Khud Ko Samujhti Thi

Ghuut Ghuut K Jeeti Rehti Thi
Har Sans Ulajhti Rehti Thi
Soo Baar Kaha Aaay Nadan Larki
Dunya Ko Dekhna Choor Day
Khud Se Ulajhna Choor Day
Pal Pal Bikherna Choor Day.
Yahan Haassass Dil To Koi Nahi.
Yahan Nazuki Say Kaam Na Lay
Yahan Pather Banna Parta Hai
Yahan Rehumdilli Say Kaam Na Lay
Soo Barr Kaha Par Kaisay Nasamjhi
Dunya Ko Sub Samujhti Thi
Phir Wohi Hoa Jo Hona Tha
Dil Toota Uska Jiska Ussay Roona Tha
Bharosay Ki Deewar Girri
Sard Lehji Haar Baar Mili
Phir Simat Gaye Apni Zaat Main
Tamaam Dukhon Ko Samaitay Anchal Main
Ankhon Main Jazbaat Nahi
Pahlay Say Halaaat Nahi
Farq Srif Itna Hoa
Khud Apni Zaaat Ko Toor Dia
Tanhayeyoun Se Rishta Jorr Dia
Phir Tanha Tanha Rehni Lagi
Phir Khud Ko Pather Kahnay Lagi
Woh Ik Pagal Pagal Si Larki
Jo Dil Toornay Se Darti Thi

Rate it:
Views: 5834
06 Mar, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets