Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye
Yani Ab Jurm-E-Aseeri Ki Saza Di Jaye
Dasht-E-Nadeedaa Ki Tehqeq Zaruri Hai Magar
Pehle Jo Aag Lagi Hai Woh Bujha Di Jaye
Sirf Jalna He Nhi Humko Bharakna Bhi Toh Hai
Ishq Ki Aag Ko Lazim Hai Hawa Di Jaye
Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agr Subah Toh Phir
Ek Shab Aur Mere Shab Se Mila Di Jaye
Aur Ek Taza Sitam Usne Kiya Ejaad
Us Ko Is Bar Zara Khul K Dua Di Jaye