Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taaron Ki Tarha Hum Ne
Ek Shakhs Ko Chaha Tha Apnon Ki Tarha Hum Ne
Ek Shakhs Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarha Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha Kiya Us Ki Karen Baatein
Din Us Ke Liye Paida Aur Us Ki Hi Thi Raatein
Kab Milta Kisi Se Tha Hum Se Thi Mulaqatein
Rang Us Ka Shahabi Tha Zulfon Mein Thi Mehkaren
Aankhein Thi Ke Jadoo Tha Palken Thi Ke Talwaren
Dushman Bhi Agar Dekhen So Jaan Se Dil Haaren
Kuch Tum Se Wo Milta Tha Baaton Mein Shabahat Thi
Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Mein Shararat Mein
Lagta Bhi Tum Hi Sa Tha
Dastor_E_Mohabat Mein Wo Shakhs Hamein Aik Din
Apnon Ki Tarha Bhoola Taaron Ki Tarha Dooba
Phoolon Ki Tarha Toota Phir Haath Na Aaya
Wo Hum Ne Bohat Dhoonda
Tum Kis Liye Chonkay Ho Kab Zikar Tumhara Hai?
Kab Tum Se Takaza Hai ?
Kab Tum Se Shikayat Hai ?
Ik Taawza Hikayat Hai Sun Lo To Inayat Hai
Ek Shakhs Ko Chaha Tha Apnon Ki Tarha Hum Ne
Ek Taaza Hikayat Hai Sun Lo To