Emaan Ke Naam

PoetUmar Hayat ( EMAAN ) Submitted byUmar Hayat Gill
Text size

Teri Yaad Main Ek Gazal Likh Raha Hon
Tu Mera Nahi Pihr Bhi Apna Likh Raha Hon

Halankeh Yaad Hi Teri Barha Deti Hai Tarap Ko
Phir Bhi Tere Naam Ko Dawa-e-Dard Likh Raha Hon

Tujh Se Barh Ke Koi Mujhe Aziz-e-Jaan Nahi Magar
Chaht Ko Teri Aaj Main Azab Likh Raha Hon

Barson Mangi Thi Duwaen EMAAN Tere Milan Ki
Qabooliat Main Who Adhori Mulaqat Likh Raha Hon

Mujh Sa Koi Teri Deed Ka Faqeer Bhi Nahi
Khud Ko Magar Shehr-e-Gum Ka Ameer Likh Raha Hon
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied