Add Poetry

Farz kro

Poet: Wasi Shah By: Minhal, karachi

Farz Kro Hum Tare Hote
Aik Doje Ko Dor Dor Se Dhek Kar Jalte Bhujhte
Aur Phir Aik Din
Shake Falak Se Girte Aur Tarek Khalao Me Kho Jate

Darye K Do Dhare Hote
Apni Apni Kooj Behte
Aur Samandar Tak Is Andhi,Wehsi, Aur
Zor Musafat K Jado Me Tanha Rehte

Farz Kro Hum Panchi Hote
Urte Urte 1k Doje Ko Chote
Aur Phr Khuli Gagan Ki Gehri
Aur Be-Sarfa Ankhoo Me Kho Jate

Bhaar Ke Jhonke Hote
Mosum Ke Aik Be Naqsha Se Khuwab Me Milte
Milte Aur Juda Na Hote
Khushk Zameno K Hato Par
Sabz Lakere Kunda Karte
Aur An Dheke Sapne Bote
Apne Apne Ansoo Ro Kar Chen Se Sote

Farz Kro Hum Jo Kuch Hai Wo Na Hote

Rate it:
Views: 981
25 Apr, 2009
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets