Faslo'n K Yeh Silsalay Naa Tum Naa Hum Mitta Sakay
Hum Tum Tak Naa Pohanch Sakay Naa Tum Miyar Apnay Gira Sakay
Wakat Tha K Guzar Giya Lo Zakham Bhi Zara Sill Giya
Tera Naam Magar Sitam Gar Hum Aaj Tak Naa Bhola Sakay
Khakstar Meri Soch Ko Kar Gaiye Alaow Meri Rooh K
Mehsos Tu Bhi Karay Kabhi Kash Tu Bhi Khud Ko Jala Sakay
Teri Aadao'n Ki Nazar Sanam Jaan-O-Dill Jis Ka Hua
Uss Say Nazer Milla Kabhi Tujhay Haal Apna Parrha Sakay
Koi Dua Ho Aisi Meray Humnashee'n Koi Dawa Aisi Meray Tabeeb Bhi
Meray Rasto'n K Silsalay Jo Meri Manzalo'n Say Mila Sakay
Uss Muhabat Mein Urooj Kaha'n Uss Wafaa Mein Bhala Saror Kaha'n
Doob Kar Jis Mein Koi Naa Khud Ko Kabhi Ganwa Sakay
Aisa Amber Ahel-E-Zarf Koi Aur Sahb-E-Kirdar Kaha'n
Hum Say Ahel-E-Dil Say Jo Jaan-O-Jigar Say Nibha Sakay