Add Poetry

Furqat

Poet: Talha Tallat By: Talha Tallat, Lahore

Dheeray Dheeray Apni Hasti Ko Mitaya Maine
Teri Furqat Ka Aise Jashn Manaya Maine

Sharabi Tha Nahi Per Hogaya Main
Khaak Main Aise Khudko Milaya Maine

Ghar Bhi Jhal Gaya Ghurbat Chaayi
Burre Waqton Ko Ustaad Banaya Maine

Mehkasho Ki Mehfilon Main Pee Kay Sharab
Tera Dukh Harf Ba Harf Sabko Sunaya Maine

Har Baazi Jeeta Ishq Main Magar Haar Gaya
Aur Haar Kay Din Ghar Ko Sajaya Maine

Meri Intiha Toh Dekho Shidat Toh Dekho Meri
Ishq Itna Kiya Door Ishq Ko Bhagaya Maine

Chahatein Thi Wasl Ki Unkay Dedar Ki Mujhko
Jab Seh Na Paya Rooh Ko Sulaya Maine

Ek Shakhs Tashreef Laya Rota Nahi Tha Woh
Bohat Roya Woh Kay Jaam Pilaya Maine

Kya Kiya Zindagi Bhar? Kya Kamaya Tumne?
Kho Diya Sabko Magar Ishq Kamaya Maine

Dard-E-Ishq-E-Chashm Na Parh Leh Koye
Har Shakhs Se Aankhon Ko Chupaya Maine

Bichran Kay Baad Aisa Bhi Hua Talha
Jab Bemar Hua Khudko Dabaya Maine
 

Rate it:
Views: 693
10 Dec, 2019
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets