Gali Mein Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukre Talash Karti Thi
Kahan Gayi Woh Kanwari, Udaas Bi Aapa
Jo Gaon Gaon Mein Rishte Talash Karti Thi
Bhulaye Kaun Aziyat Pasandiyan Us Ki
Khushi Ke Dhair Mein Sadme Talash Karti Thi
Ajeeb Hijr Purasti Thi Us Ki Fitrat Mein
Shajr Ke Toot'te Patte Talash Karti Thi
Qayam Karti Thi Woh Muhj Mein Soofiyon Ki Tarah
Udaas Rooh Ke Goshe Talash Karti Thi
Tum Raat Woh Parde Hata Ke Chand Ke Sath
Jo KhO Gaye The Woh Lamhe Talash Karti Thi
Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Wehshat
Yahan Bhi Apne Hi Pyare Talash Karti Thi
Ghuma Phira Ke Judayi Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talash Karti Thi
Tamam Raat Mein Woh Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Reze Talash Karti Thi
Duayein Karti Thi Ujre Hue Mazaron Per
Bare Ajeeb Sahare Talash Karti Thi
Muhje To Aaj Bataya Hai Badalon Ne Wasi
Woh Laut Aane Ke Raste Talash Karti Thi