Add Poetry

Ghair Sung Tha Muskaya

Poet: Amir Muaan By: Amir Muaan, islamabad

Us Ankh Main Nami Dakhi Dil Humara Bhur Aaya
Wo Jo Mairay Zakhmoun Per Ghair Sung Tha Muskaya

Raat Ki Siyahi Se Berh K Teergi Daikhi
Rastay Main Jugnu Ka Tha Makan Nazar Aaya

Mil Gaya Raqeebon Se Ja K Maira Qasid Bhi
Baad Mairay Murnay K Un Ki Woh Khabar Laya

Waz-E-Dushmani Aa Ker Khatm Ho Gai Mujh Per
Maar Ker Mujhay Maira Dushman-E-Jaan Pachtaya

Daikh Ker Humain Ikdam Is Terha Se Shurmaye
Phool Jasiay Chahray Pe Rung-E-Surkh Tha Chahaya

Doston Ki Yari Pe Aagai Hunsi Hum Ko
Waar Un Ka Jab Hum Ne Apni Peeth Pe Paya

Be-Khayali Main Us Ko Choom Aaj Hum Baithay
Shurbati Nigahon Se Pi K Main Jo Lehraya

Shokh Hai Hunsi Us Ki Aankh Main Haaya Bhi Hai
Qad Hai Sanober Sa Zulf Ik Ghana Cha'ya

Maan Hai Ussay Mujh Pe Aur Mairi Mohabbat Per
Warna Tha Raqeebon Ne Kitna Us Ko Behkaya

(Hissar-E-Mohabbat Se Aik Ghazal)
 

Rate it:
Views: 465
05 Jul, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets