Gham-E-Dauran’ Ne Bhi Seekhey Gham-E-Jaana K Chalan
Wohi Sochi Hui Chalein’ Wohi Besakhtapan
Wohi Iqrar Mein Inkaar K Lakhon’ Pehlu
Wohi Hon’ton’ Pe Tabassum Wohi Abaru Pe Shikan
Kis Ko Dekhaa Hai K Pindaar-E-Nazar Ke Baavasaf
Ek Lamhe Ke Liye Ruk Gai Dil Ki Dharkan
Kaun Si Fasl Mein Is Baar Mile Hein Tujh Se
Ham Ko Parvaah-E-Gireban’ Hey Na Fikr-E-Daman
Ab To Chubhati Hai Hava Barf Ke Maidaano Ki
Un Dino Jism Ke Ehasas Se Jalata Tha Badana