Guzishta Saal April Mai
Poet: Zeeshan By: Zeeshan, karachiTum Ko Yaad Hai Jaana
 Guzishta Saal April Mai
 Isi Tarhan Ka Mosam Tha
 Jab Tmne Kaha Tha Mujh Se
 Chalo Hum Naam Badalte Hain
 Koi Acha Sa Farzi Naam Rakho
 Tum Mera Aur Apna
 Haan Us Waqt Tumhari Baat 
 Maine An’suni Kardi Thi
 Magr Jab Se Lagi Hai Thokar
 To Ab Kuch Naam Zehen Mai Aatey Hain
 Aaj Isi April Mai Wo Farzi Naam Rakhe Hain
 Mera Naam Aaj Se
 Sahil
 Or
 Tmhara Naam Aaj Se
 Mosam Hai
 
 K “Sahil” Anaa Parast Thehra
 Or “Mosam” Bewafa Jaana
More Sad Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 