Add Poetry

Haal-e-dil

Poet: Talha Tallat By: Talha Tallat, Lahore

Bohat Ajab Baath Hai Logo Batana Bhool Gaya
Muskurahat Ataa Ki Sabko Jabke Khud Muskurana Bhool Gaya

Kesay Kis Zarf Se Nikloon Iss Shahar Main Logon
Jab Kay Duniya Chor Dih Jiski Khatir Mujhko Wohi Benishaan Sa Chor Gaya

Loot Liya Mujhko Kuch Kiye Baghair Usnay
Bas Apni Imanat Lekar Woh Mujhko Akela Chor Gaya

Herat Na Hui Mujhko Kissi Apnay Ne Joh Rang Badla
Mudhat Hui Hai Ab Toh Joh Saara Zamaana Chor Gaya

Yaadon Se Jee Behlaa Loh Kay Dard Main Muskura Loh
Yeh Seekha Hai Jabse Woh Apna Mujhko Paraya Chor Gaya

Joh Aanso Na Seh Sakta Tha Hamaray Naino Main Qatra
Wohi Ashqon Ki Abshaar Seenay Main Meray Chor Gaya

Haar Raath Koye Khalish Hou Jesay Sonay Na Deti Hou Jesay
Ek Bhool Hui Shahid Unsay Woh Apna Dil Meray Seenay Main Chor Gaya

Raath Guzar Gayi Hai Ghazal Likhtay Likhtay Talha
Chalo Iss Behasil Ishq Kay Safar Main Woh Kuch Nahi Toh Likhnay Ka Bahana Chor Gaya
 

Rate it:
Views: 3207
01 Jul, 2017
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets