Hai Dua Yaad Magar Harf-E-Dua Yaad Nahi
Mere Nagmat Ko Andaz-E-Nava Yaad Nahi
Main Ne Palkon Se Dar-E-Yar Pe Dastak Di Hai
Main Wo Sail Hun Jise Koi Sada Yaad Nahi
Hum Ne Jin Ke Liye Rahon Mein Bichaya Tha Lahu
Hum Se Kahate Hain Wohi Ahad-E-Vafa Yaad Nahi
Kaise Bhar Aain Sar-E-Shaam Kisi Ke Aankhen
Kaise Tharrae Charagon Ke Ziya Yaad Nahi
Sirf Dhundhalai Sitaron Ke Chamak Dekhi Hai
Kab Hua Kon Hua Kis Se Khafa Yaad Nahi
Zindagi Jabr-E-Musalasal Ke Tarah Kati Hai
Jane Kis Jurm Ke Pai Hai Saza Yaad Nahi
Aao Ik Sajda Karen Aalam-E-Madhahoshi Mein
Kahate Hain Ke “Sagar” Ko Khuda Yaad Nahi