Add Poetry

Hamari Qismt

Poet: mirza ghalib By: tawakal abbas, layyah rajan shah

Mirza Ghalib
Ye Na Thi Hamari Kismat Ke Visaal-
E-Yaar Hota
Agar Aur Jeetey Rehtey Yehi
Intezaar Hota
Tere Vaade Pr Jiye Hum To Yeh
Jaan Jhoot Jaana
Ke Khushi Se Mar Na Jaate Agar
Aitbaar Hota
Teri Naazuki Se Jana Ke Bandha
Tha Ehd-Boda
Kabhi Tu Na Torr Sakta Agar
Ustuvaar Hota
Koi Mere Dil Se Puuche Tere Teer-
E-Neem-Kash Ko
Yeh Khalish Kahaan Se Hoti Jo
Jigar Ke Paar Hota
Yeh Kahan Ki Dosti Hai Ke Bane
Hain Dost Naaseh
Koi Charaa-Saaz Hota Koi Gham-
Gusaar Hota
Rag-E-Sang Se Tapaktaa Woh
Lahuu Ke Phir Na Thamta
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh
Agar Sharaar Hota
Gham Agarche Jaan-Guseel Hai Pr
Kahan Bachen Ke Dil Hai
Gham-E-Ishq Gr Na Hota Gham-E-
Rozgaar Hota
Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai
Shab-E-Gham Buri Balaa Hai
Mujhe Kya Buraa Tha Marna Agar
Aik Baar Hota
Huye Mar Ke Hum Jo Rusvaa Huye
Kyun Na Gharq-E-Dariyaa
Na Kabhi Janaaza Uthta Na Kahin
Mazaar Hota
Ussey Kaun Dekh Sakta Ke
Yagaana Hai Woh Yakta
Jo Duii Ki Buu Bhi Hoti To Kahin
Do Chaar Hota
Yeh Masaayel-E-Tasavvuf Yeh Tera
Beyaan Ghalib
Tujhe Hum Walli Samajhte Jo Na
Baada-Khuwaar Hota

Rate it:
Views: 662
16 May, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets